Jaise jaise raat sarakti jati hai
Me bikharta chala jata hu
Andheren mujhme krne lgty hai shigaf
Aur me tout kr bikharta chala jata hu
Raat k tanha ehsas mein me khud ko tanha pta hu
Wo siyah aandhera khachota hai mujhko
Wo shabnami se raat na janey
Kya Kya sunati hai mujhko
Kbhi maazi k qissay
kbhi mustaqbil k aankahe hissay
Bht kuch basta hai raat k daman me
Aur me roz bikharta hu raat k paikar me
Na koi humnawa hota hai na koi Humsafar
Sari raat siyah raat banti hai meri Humsafar
Me khud hi khud ko hausla deta rhta hu
Aur subho tak kai bar bikhar kar jor jta hu
Raat k aandheron me na janey
kitni bar gir k bikhar jta hu
Khud muskurata hu khud hi sambhal jta hu
Comments