kuch baatein unkahi si
Kuch baatein unkahi si,
Juban par aate aate ruk jaate hain.
Kuch sapne adhoore se,
Poore hote dikhai to dete hain par hote nahin hain.
Kuch khayal dil se,
jisme base hote hain apne armaan kai barson se,
khushi to deti hain par khayal hi reh jaate hain .
Kuch unjaan jo lagte to hain apne se,
Aur jo hote to hain har pal saath saath mein ,
par kehene se woh darte hain yeh humse ya apne aapse.
Kuch ghao jo mith te nahin hain unke jaane se,
Saaya ban ke to reh jati hain yeh apne saath mein,
par ek zindagi beet jaati hain unki yaad mein.
Comments