Sukh aur dukh sikke ke do pehlu,
Ek laaye khushi, to dusra laaye gham,
Jeene ke liye dono hi zaroori,
Kyunki yehi sikhaate jeena kya hai zindagi...
Himmat aur honsla hai iske do ahem pehlu,
Jinke bina na hota ye safar poora,
Na haar maanna is dagar pe,
Agar pohonchna hai apni manzil pe,
Rote hue hasna seekhna, aur haste hue rona,
Par dhairya kabhi na khona,
Agar jeeni hai zindagi to kabhi na rukna
Comments