Hai fakr hamein us matti pe,
jiski khusbhu mein humein apno ki sugandh aati hai,
jiski dhool mein humein beete hue tyag ki jhalak dikhti hai,
hai naaz humein is jameen par jisme hamne apna pehla kadam rakha,
hai khushi humein apni takdir pe ki humne yahan janam liya,
hai garv humein us matrubhumi par , jispar
aaj bhi Bhagat Singh aur Jhansi ki rani ke lahu ke daag hain,
jahan aaj bhi Swami Vivekananda ki tapasya safal hoti dikhai deti hai,
to kya hua agar aaj bhi hum garib aur bhooke hain,
kam se kam aaj bhi es peeda ko jhelne ki himaat to rakhte hain ,
aur ma ke samaan ke liye apne khun ko danw pe lagane ki chah to rakhte hain,
jiski har boond pe bas yehi likha hai
mera Bharat mahan tha, mahan hai aur hamesha rahega
aur isliye, hai salaam har us soch aur karm ko ,
jisne aaj bhi bandh ke rakha hai
hindustan ke shaano shaukat ko.
Azadi mubarak ho.
Comments